back to
Azadi Records
We’ve updated our Terms of Use to reflect our new entity name and address. You can review the changes here.
We’ve updated our Terms of Use. You can review the changes here.

Allah Rakha

by Gunda

/
  • Streaming + Download

    Includes unlimited streaming via the free Bandcamp app, plus high-quality download in MP3, FLAC and more.
    Purchasable with gift card

      $7 USD  or more

     

1.
Sudhiyo ke paar, Tu Jeevan Sajati Hogi, Naino ke Darpan mein, Mann ka meet Manati hogi, Kyuki, Aasmaan mein Taare tere waaste, Hum toh Kismat ke Maare, kisi Daal se, Ude, Ude, Ude, Ude, Ude, Ude.. Hum toh Kismat ke Maare, Hum toh kismat ke Maare, Hum toh kismat ke Maare, Hum toh kismat ke maare.. Kyuki, Aasmaan mein Taare tere waaste, Hum toh Kismat ke Maare, kisi Daal se, Ude, Ude, Ude, Ude, Ude, Ude.. Hum toh Kismat ke Maare, Hum toh kismat ke Maare, Hum toh kismat ke Maare, Hum toh kismat ke maare..
2.
Meri Mazaar ka, Diya bhuja gaya koi, Chade the phul saamne woh bhi hata gaya koi.. Bata tera naam kya bata, Tu kaha se aaya, Tu Kaha ko jaayega, Bata.. Bata tera kaam kya bata, Tu kaha se aaya, Tu Kaha ko jaayega, Bata.. Bata tera naam kya bata, Tu kaha se aaya, Tu Kaha ko jaayega, Bata.. Yeh Zubani, Tere Naam ki, Yeh Zubani, Tere Naam ki. Meri Mazaar ka, Diya bhuja gaya koi, Chade the phul saamne, woh bhi hata gaya koi. Bata tera naam kya bata, Tu kaha se aaya, Tu Kaha ko jaayega, Bata.. Bata tera kaam kya bata, Tu kaha se aaya, Tu Kaha ko jaayega, Bata.. Bata tera naam kya bata, Tu kaha se aaya, Tu Kaha ko jaayega, Bata..
3.
Kisi ke pyaar mein barbaad zindagi karli, Kisi ke pyaar mein barbaad zindagi karli, Humare baad bhi humko sata raha hai koi, Humare baad bhi humko sata raha hai koi.. Kisi ke pyaar mein Tere Jahan mein akele ji nahi Lagta, Tere Jahan mein akele ji nahi Lagta, Suna ke geet yeh dil ko Dukha raha hai koi, Suna ke geet yeh dil ko Dukha raha hai koi.. Kisi ke pyaar mein Humari Maut ke sadmein se Dukh nahi Yaaron, Humari Maut ke sadmein se Dukh nahi Yaaron, Fanaa ke baad bhi mujhko Mita raha hai koi, Fanaa ke baad bhi mujhko Mita raha hai koi..
4.
Tu mujhe yaad hai (4X) Yeh saathi tere saath na denge tu royega ek din, Paisa jab tak paas hai tere saath rahenge har din, Haath na chodenge pal bhar bhi tera hi gun gaayenge, Yeh saathi tere saath na denge tu royega. Phir wahi rut aai hai, Phir Ghataayein chaai hai, Teri Raaton ki Karwat, Teri Baaton ki Harkat, Ab yahi Jaljaane de, Raakh yu ban jaane de, Phir kaahe ki teri Naaraazi.. Yeh saathi tere saath na denge tu royega ek din, Paisa jab tak paas hai tere saath rahenge har din, Haath na chodenge pal bhar bhi tera hi gun gaayenge, Yeh saathi tere saath na denge tu royega. (3) Tu mujhe yaad hai (2X)
5.
Agar tum kaho toh Ghataon se keh dun, Humein le chale woh Sitaaron se Aage.. Yeh Makhmoor Aankhein Teri Muntazar hai, Yeh purnoor Chehra tera Jalvagar hai, Agar tum kaho toh Ishaaron se Keh dun, Humein Le Chalein woh Nazaaron se Aage.. Agar tum kaho toh Ghataon se keh dun, Humein le chale woh Sitaaron se Aage.. Dulhan hasraton ki saji se Khadi hai, Naashaad hun par milan ki ghadi hai, Agar Tum kaho toh Kaharon se Keh dun, Humein le chale woh Baharon se Aage.. Agar tum kaho toh Ghataon se keh dun, Humein le chale woh Sitaaron se Aage.. Kahi aa na jaye bhawar mein yeh Kashti, Kahi aa na jaaye Toofaan ko Masti, Agar tum kaho toh main Dhaaron se keh dun, Humein le chale woh Kinaaro se Aage.. Agar tum kaho toh Ghataon se keh dun, Humein le chale woh Sitaaron se Aage.. (3)
6.
Phir roya tha pyaar, Khamosh baithkar, band kamre mein, khud ko Sametkar (2) Maar Daalo, beech chaurahe mein, Suli chadado beech Chaurahe mein, aye Deewaane, teri deewangi ke saath hu main, Aye Deewaane Phir roya tha pyaar, Khamosh baithkar, band kamre mein, khud ko Sametkar (2) aaj bhi zinda hai pyaar un dilo mein, aur tum kuch na samjha paoge, karna pyaar ka naam buland, aur tum karoge sar kalam, aur kisiko deewar mein Chunwaoge..
7.
Aur Ek Jaam 03:00
Aur Ek jaam pee gaya, Tere naam pe, Paimana gira dia teri yaad se.. Ab Hosh na raha mujhe, Ab Hosh na raha (2) Aur Ek jaam us Shaks ke naam, Baate Bistar jo tere Saath, Pucho na mujhse mera Dard kya, Ab kuch bhi na Yahan.. Ab Hosh na raha mujhe, Ab Hosh na raha (2)
8.
Shukriya 02:09
Rukhsat ho chale tum, Yaha Se, Kuch kehena baaki na raha, Na jaane ho tum kaha pe, Batana Munasib na raha.. Par Shukriya, Jaanam, Shukriya, Jaanam Koi Maksad na raha, Yaha Pe, Saaya tera jo Mukar Gaya, Naam bas tera Zubaan Pe, Par Bolne pe main Bikhar Gaya.. Par Shukriya, Jaanam, Shukriya, Jaanam
9.
Zindagi, Hai yeh do pal ki Jaane jaan, Kab Guzar jaye pata na chale. Phir Chod woh baatein, Aur Aa mere Paas, Phir Chod woh baatein, Aur Aa mere Paas.. Humraaz mere aise na tu ab yun Tadpa, Kaise bhul jao yun tujhe, Baat maan le, Ruthegi kab tak tu Mujhse, Chaahe woh raat dhal chuki Wahan.. Phir Chod woh baatein, Aur aa mere Paas, Phir Chod woh baatein, Aur aa mere Paas..
10.
Aawargi 03:26
Thakh chuka hu main, Apne aasuon pe Haske, Chalna toh bahut hai, Par band hai saare raste, Milna hai zaroori tujhse, Minattein adhoori mujhse.. Majbooriyan woh tumahri, Khamoshiyan yeh Hamari, Aawaargi.. Tere sheher mein, ab hai na koi mera, jaanu na tujhe mein, ajnabee hai tera chehra, Phir se dil laga ke tod le, Chal phir mile usi Mod Pe.. Majbooriyan woh tumahri, Khamoshiyan yeh Hamari, Aawaargi..
11.
Prathna 03:00
Kya main puchu, iss zamane se kya tera Mafhoom, Inki Saqafat, yeh hi Jaane, main toh tera Fanoos.. Prabhuji Daya Karo, Prabhuji Daya Karo, Mann mein Aan Baso, Mann mein Aan Baso.. Hari Om (4) Dikh hi main jaunga teri Numaish mein aankein tikake toh dekh, Noor e Illahi mein tera Qareena, Aqeedat Sikha de mujhe.. Prabhuji Daya Karo, Prabhuji Daya Karo, Mann mein Aan Baso, Mann mein Aan Baso.. Hari Om (4) Kisine chadar chadayi, Kisine diya jalaya, Mere malik ke ghar mein Koi na paraya

credits

released February 9, 2024

license

all rights reserved

tags

about

Gunda Mumbai, India

contact / help

Contact Gunda

Streaming and
Download help

Redeem code

Report this album or account

If you like Gunda, you may also like: